Şarkının sözleri aşağıdadır Duniya Ka Musafir , sanatçı - Junaid Jamshed çeviriyle birlikte
Çevirili orijinal metin
Junaid Jamshed
Dunya ke ae musafir
Manzil teri qabar hai
Tay kar raha he jo tu
Do din ka ye safar hai
Dunya bani hai jab se (x2)
Laakhon karoro aaye (x2)
Baaqi raha na koi
Mitti mein sab samaaye (x2)
Is baat ko na bhulo
Sab ka yahi hashr hai
Dunya ke ae musafir
Manzil teri qabar hai
Tay kar raha he jo tu
Do din ka ye safar hai
Aankhon se tu ne apni
Kitne janaaze dekhe (x2)
Haathon se tu ne apne
Dafnaaye kitne murday (x2)
Anjaam se tu apne
Kyun itna bekhabar he
Dunya ke ae musafir
Manzil teri qabar hai
Tay kar raha he jo tu
Do din ka ye safar hai
Makhmal pe sonay waale
Mitti mein so rahe hai (x2)
Shaaho gada barabar
Ek saath so rahe he (x2)
Dono huwe baraaber
Yahi maut ka asar he
Dunya ke ae musafir
Manzil teri qabar hai
Tay kar raha he jo tu
Do din ka ye safar hai
Ye aali- shaan bunglay
Kuch kaam ke nahi hai (x2)
Ye oonchi oonchi imaarat
Kuch kaam ki nahi he (x2)
Do gaz zameen ka tukra
Chota sa tera ghar he
Dunya ke ae musafir
Manzil teri qabar hai
Tay kar raha he jo tu
Do din ka ye safar hai
Mitti ke putle tujh ko
Mitti mein he sumaana
Ek din he tu ke aaya
Ek din he tujh ko jaana
Rehna nahi he tujh ko
Jaari tera safar he
Dunya ke ae musafir
Manzil teri qabar hai
Tay kar raha he jo tu
Do din ka ye safar hai
Farklı dillerde şarkılar
Tüm dillere yüksek kaliteli çeviriler
İhtiyacınız olan metinleri saniyeler içinde bulun